Sumundar ki aati jaati lehrain
Saahil ki rait se baatain kurti hain
Puraani tehreerain mita , mitaa kur
Naiee kahaanian likh deti hain
Kabhi kinaaron pur pur’ay sung-raizay utha kur
Geh-ray paani-on mein dubo deti hain
To kabhi doobay guh’r ,chun chun kur
Saahilon pe bikhhair deti hain
Chup, udaas logon ke pairon ko choo kur
Unhain dilaasay deti hain
To kabhi hawaaon se keh kur
Oun ke sab aansoo chun laity hain
Sumundar ki aati jaati lehrain
Aatay jaatay waqt ki maanind
Un-kahaiy shubdon mein uks , paroti hain
Kabhi kabhi , apni hi baton pur husti hain…
Kabhi kabhi…ro deti hain….
Sumundar ki aati jaati lehrain…
Saahil se…
SW
(Transcription in my English Poetry Blog..)
(Transcription in my English Poetry Blog..)
