This poem is about how a Muslim transforms by pondering over Quran!
Musalmaan aur Quraan
Musalmaan aur Quraan
aieena dekh kur main pureshaan ho gaya
apnay wajood pur hi pushemaan ho gaya
is qaaro baar e deen* ne to burbaad kur dia
eemaan ko tola to main be-eemaan ho gaya
dhoonda jugha jugha, magr na khola apna dil
aur jhaanka, to teri deed ka samaan ho gaya
ous zaat se mansoob kia naffa o nuksaan
kub jaanay woh qahaar, mehrbaan ho gaya
pehlay Quran tha bus ik mo'jaza faqat
nikla jahaad pay to phir 'Furqaan' ho gaya
chup saadhay jo baitha raha tha manind e durwaish
bola , to wahi aandhi o toofaan ho gaya
bola koi main mo'jaza hoon , 'aajiz' karoo ga main
jab aqal se milla to khud hairaan ho gaya
apnay qadam chulna hoa dushwaar kis qadar
kaandhay se ous kay rusta kuch aasaan ho gaya
husrat bana rahaa jo baras ha basad e shoq
nikla jo meray dil se to aurmaan ho gaya
ehl e kitaab* aaj jisay kehtay hain 'shaheed'
ik 'hurf' tha jo rah main qurbaan ho gaya
shaitaan mera dost , dereena ik rafeeq
ub k mila to jaan kur un-jaan ho gaya
Duniya ka Ilm jaana . jaana na apna deen*
Ab samjha kaisay zehn yeh veeran ho gaya
Paya zaroor jis ne bhi maanga khuda se SUCH
Yun hi to nahi Budha ko Nirvaan ho gaya
Jis ne kia gharoor o takubbar, zun o gumaan
Ilm o aqal k ba wajood ,nadaan ho gaya
tafreeq k janoon ne mujhay muskrik bana dia
thaami jo HUB LULAHH, MUSALMAAN ho gaya
taira to teray ishq main 'kia kia' nahi bana
'dooba' jo aik baar main INSAAN ho gaya
Allah ka Ehsaan tha ya husn e amal o khoo
'Saadiq' 'Ameen', "Khulq u hul Qur-aan "ho gaya
(Sall ul la hu alaihi wasallam)
(Sall ul la hu alaihi wasallam)
SW
Dedicated to 'Deen e Islam'
(Ehl e kitaab ...Kitaab walay yani *Quran waalay muraad hain )
Check it on the Islamic Poetry Site here
Check it on the Islamic Poetry Site here

No comments:
Post a Comment